Wednesday, 11 April 2018

Ghar se nikalte hi

https://youtu.be/guCirvYbqz4
★★★
Ghar se nikalte hi
Kuch door chalte hi
Raste mein hai uska ghar

Pehli dafaa maine
Jab usko dekha to
Saansein gayi yeh thehar

Rehti hai dil mein mere
Kaise bataaun usey
Main toh nahi keh sakaa
Koi bataa de usey

Ghar se nikalte hi
Kuch door chalte hi
Raste mein hai uska ghar

Uski gali mein hai dhali
Kitni hi shaamein meri
Dekhe kabhi woh jo mujhe
Khush hoon main itne mein hi

Maine tareeke sau aazmaaye
Jaake usey na kuch bol paye
Baithe rahe hum raat bhar

Jo paas jaata hoon
Sab bhool jaata hoon
Milti hai jab yeh nazar

Ghar se nikalte hi
Kuch door chalte hi
Raste mein hai uska ghar

Kal jo miley woh raahon mein
Toh main usey rok loon
Uske dil mein kya hai chhipa
Ik baar main poochh loon

Par ab wahaan woh rehti nahi hai
Maine suna hai woh jaa chuki hai
Khaali pada hai yeh shehar…

Main phir bhi jaata hoon
Sab dohraata hoon
Shayad miley kuch khabar

Ghar se nikalte hi
Kuch door chalte hi
Raste mein hai uska ghar

No comments:

Post a Comment